Meenakshi Rajput
 

Dil ko ab kisi se koi gila nahi,
Man se jo bhi chaha wo mila nahi,
Badnasibi kahoon ya waqt ki bewafai,
Andhere mein ek diya mila par wo bhi jala nahi........

 

"Jane Q zindagi ab sehra lagti hai"
"Saans bhi loon tu zakhmon ko hawa lagti hai"
"Q har baat ki taseer mujh par ulti hai"
"Koi dua bhi de tu bad-dua lagti hai"....

 

JUDA hony k MOSAM me JUDA hona zrori tha..
Najany Q kisi ka BEWAFA hona zruri tha..

Mere DIL ne jo is ko POOJANY ki intha kr di,
To phir us BEWAFA ka be
KHUDA
hona zrori tha,,

Kisi se koi bhi SHIKWA na koi bhi SHAKYAT hai,
Jo mery sath CHAHAT me huwa,

hona zrori tha,,

Bhut nzdeek the DIL is liye ab

DOORIYN bhi hain,
DILON k dermiyan kuch FASLA

hona zrori tha,,

Use bhi DARD dne ka bhut he SHOK tha,
Hume bhi DARD-O-GHUM Say ashna

hona zrori tha..!!

 

Aisa Nahi Ke Humko Mohabbat Nahi Mili,
Jise Chahte The Humko Wo Ulfat Nahi Mili,

Milne Ko Zindagi Mein Kyi Humsafar Mile,
Par Unki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili,

Chehron Mein Dusron Ke Tumhein

Dhundte Rahe,
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili,

Bahut Der Se Aaya To Mere Paas Kya Kahun,
Alfaaz Dhundne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili,

Tujhko Gila Raha Ke Tawajoh Na Di Tujhe,
Lekin Hamein Khud Apni Mohabbat Nahi Mili,

Har Shakhs Zindagi Mein Bahut Der Se Mila,
Koi Bhi Chiz WaQt-E-Zaroorat Nahi Mili,

Humko To Teri Aadat Achhi Lagi,
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili...

 

Lb See Liye The Maine Judai K Mor Par
Bus Dekhte Rhe The Jahan Tak Nazar Gaee...

Tere Liye To Khwaab Tha Wo Guzar Gya
Par Dekh Zara Meri To Zaat Bikhar Gaee...


 

Tu hi bata kahan se dhoond kar
laon ab apne ap ko.

Tujhe pane k liye maine khud

ko kho deya hai.....♥

 

Kismat aisi thi ki aaj hum akele reh gaye
judai ke aasu aankho se beh gaye
rote huye koun chup karayega hume
jo chup karate the wahi rone ko keh gaye

 

Paas aakar sbhi door chale jaate hain
Hum akele the akele hi reh jaate hain

Dil ka dard kise dikhaayein
Marham lagaane waale hi zakhm de jaate hain

 

Main udass rasta hoon sham ka,
mujhe aahatoon ki talash hai.
ye sitare hain sab bujhe bjhe,
mujhe jugnoo ki talash hay.
har khushi hay mujh say khafa khafa,
mujhe zindagi ki talash hai.
ek hoojom sa hay laga hua,
mujhe dostoon ki talash hai.
mere zindzgi hay ek rasta
mujhe manziloon ki talash hai.
na jane kiya hay jo kho gaya,
mujhe shayad kisi apne kee talash hai...

 

Bahut udaas hai koi tere jaane se
Ho sake to laut aa kisi bahane se
Tu lakh khafa sahi per ek baar to dekh
Koi toot sa gaya tere rooth jane se